Abbas Tabish

dam-e-suKHan hi tabiat lahu lahu ki jae

Abbas Tabish

1961
dam-e-suḳhan hī tabī.at lahū lahū kī jaa.e
koī to ho ki tirī jis se guftugū kī jaa.e
ye nukta kaTte shajar ne mujhe kyā ta.alīm
ki dukh to milte haiñ gar ḳhvāhish-e-numū kī jaa.e
kashīda-kār-e-azal tujh ko e'tirāz to na.iiñ
kahīñ kahīñ se agar zindagī rafū kī jaa.e
maiñ ye bhī chāhtā huuñ ishq kā na ho ilzām
maiñ ye bhī chāhtā huuñ terī aarzū kī jaa.e
mohabbatoñ meñ tū shajre kā bhī nahīñ mazkūr
tū chāhtā hai ki maslak pe guftugū kī jaa.e
mirī tarah se ujaḌ kar basā.eñ shahr-e-suḳhan
jo naql karnī hai merī to hū-ba-hū kī jaa.e
Top Urdushayar.com