Abbas Tabish

dasht-e-hairat mein sabil-e-tishnagi ban jaiye

Abbas Tabish

1961
dasht-e-hairat meñ sabīl-e-tishnagī ban jā.iye
jo kabhī puurī na ho aisī kamī ban jā.iye
rāt-bhar rahiye mire hamrāh nīñdoñ kī tarah
din chaḌhe to lazzat-e-āvārgī ban jā.iye
pahle to mujh ko atā kiije vahī chehra mirā
vo nahīñ to phir mirī pahchān hī ban jā.iye
tā.ir-e-ḳhasta kī sūrat aap ko dekhā karūñ
shāḳh-e-sidra se utartī raushnī ban jā.iye
baiThe rahne se to lau dete nahīñ ye jism-o-jāñ
jugnuoñ kī chaal chaliye raushnī ban jā.iye
Top Urdushayar.com