Abbas Tabish

tere liye sab chhoD ke tera na raha main

Abbas Tabish

1961
tere liye sab chhoḌ ke terā na rahā maiñ
duniyā bhī ga.ī ishq meñ tujh se bhī gayā maiñ
ik soch meñ gum huuñ tirī dīvār se lag kar
manzil pe pahuñch kar bhī Thikāne na lagā maiñ
varna koī kab gāliyāñ detā hai kisī ko
ye us kā karam hai ki tujhe yaad rahā maiñ
maiñ tez havā meñ bhī bagūle kī tarah thā
aayā thā mujhe taish magar jhuum uThā maiñ
is darja mujhe khokhlā kar rakkhā thā ġham ne
lagtā thā gayā ab ke gayā ab ke gayā maiñ
ye dekh mirā haath mire ḳhuun se tar hai
ḳhush ho ki tirā madd-e-muqābil na rahā maiñ
ik dhoke meñ duniyā ne mirī raa.e talab kī
kahte the ki patthar huuñ magar bol paḌā maiñ
ab taish meñ aate hī pakaḌ letā huuñ paañv
is ishq se pahle kabhī aisā to na thā maiñ
Top Urdushayar.com