Abbas Tabish

dar-e-ufuq pe raqam raushni ka bab karen

Abbas Tabish

1961
dar-e-ufuq pe raqam raushnī kā baab kareñ
ye jī meñ hai ki sitāre ko āftāb kareñ
nigah meñ ghūmtī phirtī haiñ sūrateñ kyā kyā
kise ḳhayāl meñ laa.eñ kise ḳharāb kareñ
ye aarzū hai ki phūTeñ badan ke ḳheme se
aur apnī zaat ke sahrā meñ raqs-e-āb kareñ
mire hurūf-e-tahajjī kī kyā majāl ki vo
tujhe shumār meñ laa.eñ tirā hisāb kareñ
nahīñ hai shahr meñ koī bhī jāgne vaalā
kise kaheñ ki chalo sair-e-māhtāb kareñ
falak to gosh-bar-āvāz hai magar 'tābish'
na ho zabān hī muñh meñ to kyā ḳhitāb kareñ
Top Urdushayar.com