ai dost talattuf siiñ mire haal kuuñ aa dekh
siine kī agan mehr ke paanī siiñ bujhā dekh
sādiq huuñ mujhe bul-havas ai jaan tuuñ mat jaan
shamshīr-e-taġhāful dil-e-zaḳhmī pe chalā dekh
pyāsā huuñ tirī teġh ke paanī kā har ik dam
bāvar nahīñ ye baat to yak-bār pilā dekh
mujh aah kī garmī siiñ jhaḌe phuul chaman ke
ai sarv-e-gulistān-e-adā baaġh meñ jā dekh
banda huuñ tirā ḳhvāh karam ḳhvāh jafā kar
jis tarz tire shauq meñ hue mujh kuuñ jalā dekh
naqd-e-dil-e-ḳhālis kuuñ mirī qalb tuuñ mat jaan
hai tujh kuuñ agar shubah to kas dekh tapā dekh
tujh lab ke tabassum meñ hai ejāz-e-masīhā
ai jān-e-'sirāj' is dil-e-be-jāñ kuuñ jalā dekh