havā-e-mausam-e-gul se lahū lahū tum the
khile the phuul magar un meñ surḳh-rū tum the
zarā sī der ko mausam kā zikr aayā thā
phir us ke ba.ad to mauzū-e-guftugū tum the
aur ab ki jab sūrat nahīñ talāfī kī
maiñ tum se kaise kahūñ merī aarzū tum the
kahāniyoñ meñ to ye kaam azhdahe kā thā
mirī jab aañkh khulī mere chār-sū tum the