har-chand tirī yaad junūñ-ḳhez bahut hai
maiñ jaag rahā huuñ ki havā tez bahut hai
kyuuñ kar na mire tan se chhalak jaa.e ḳhamoshī
paimāna-e-jāñ zabt se labrez bahut hai
kyā koh-e-girāñ Thahre tirī rāhguzar meñ
ai husn tirī ek hī mahmez bahut hai
ik chāñd kī kashtī hī nahīñ Dūbne vaalī
varna vo samundar to balā-ḳhez bahut hai
gul-dān se lagte hī bikhar jaatī hai titlī
goyā ye rag-e-sañg bhī ḳhūñ-rez bahut hai
palkoñ pe koī phuul nahīñ hai to ajab kyā
kahne ko to miTTī mirī zarḳhez bahut hai
tum ḳhud sā samajh kar na ise haath lagānā
vo ḳhaak kā putlā hī sahī tez bahut hai
dharnā hai kahīñ to ye girāñ-bārī-e-ḳhātir
zaanū jo nahīñ sar ke liye mez bahut hai
kyā hai jo kaTore ke bhī pairāk nahīñ ham
jiine ko to ye hīla-e-tabrez bahut hai
'tābish' jo guzartī hī nahīñ shaam kī had se
socheñ to vahīñ raat sahar-ḳhez bahut hai