Abbas Tabish

mere badan mein lahu ka kaTaw aisa tha

Abbas Tabish

1961
mire badan meñ lahū kā kaTāv aisā thā
ki merā har-bun-e-mū ek ghaav aisā thā
bichhaḌte vaqt ajab uljhanoñ meñ Daal gayā
vo ek shaḳhs ki sīdhe subhāv aisā thā
chalī jo baat koī raat ke ta.āqub meñ
to baat baat se niklī bahāv aisā thā
maiñ puurā puurā ravāna thā abjadoñ kī taraf
hisāb-e-umr tirā chal-chalāv aisā thā
gul-e-nashāt kī ḳhushbū bhī baar thī mujh ko
mire mizāj meñ ġham kā rachāv aisā thā
kanār-e-lab meñ na rahtī thī mauj-e-goyā.ī
tabī.atoñ meñ suḳhan kā bahāv aisā thā
Thahartā kyā mirī ḳhākistarī nigāhoñ meñ
tirā vajūd to raushan alaav aisā thā
nikal sakī na koī bhī farār kī sūrat
sipāh-e-zīst kā mujh par paḌāv aisā thā
na chaah kar bhī use dil se chāhte the ham
kisī kī laag meñ 'tābish' lagāv aisā thā
Top Urdushayar.com