Abbas Tabish

ye dekh mere naqsh-e-kaf-e-pa mere aage

Abbas Tabish

1961
ye dekh mire naqsh-e-kaf-e-pā mire aage
aage bhī kahāñ jaatā hai rasta mire aage
ai tishna-labī tū ne kahāñ lā ke Duboyā
is baar to dariyā bhī nahīñ thā mire aage
aise nahīñ mānūñgā maiñ hastī kā tavāzun
taqtī.a kiyā jaa.e ye misra mire aage
ai qāmat-e-dil-dār-e-guzisthā kī muāfī
pahle koī me.aar nahīñ thā mire aage
kyūñkar suḳhan āġhāz kiyā jaa.e ki vo aañkh
lā rakhtī hai ajdād kā likkhā mire aage
hairat hai ki detī haiñ mujhe ta.ana-e-vahshat
tartīb se rakkhī huī ashyā mire aage
maiñ jāntā huuñ us ke sabhī bhed sabhī bhaav
duniyā ne kabhī raqs kiyā thā mire aage
maiñ ishq ke ādāb zarā siikh luuñ pahle
baiThegī adab se yahī duniyā mire aage
Top Urdushayar.com