Duub kar bhī na paḌā farq girāñ-jānī meñ
maiñ huuñ patthar kī tarah bahte hue paanī meñ
ye mohabbat to bahut ba.ad kā qissa hai miyāñ
maiñ ne us haath ko pakḌā thā pareshānī meñ
raftagāñ tum ne abas Dhoñg rachāyā varna
ishq ko daḳhl nahīñ maut kī arzānī meñ
ye mohabbat bhī vilāyat kī tarah rakhtī hai
hālat-e-hāl meñ ye hālat-e-hairānī meñ
is liye jal ke kabhī raakh nahīñ hotā dil
ye kabhī aag meñ hotā hai kabhī paanī meñ
ik mohabbat hī pe mauqūf nahīñ hai 'tābish'
kuchh baḌe faisle ho jaate haiñ nādānī meñ