Abbas Tabish

itna aasan nahin masnad pe biThaya gaya main

Abbas Tabish

1961
itnā āsāñ nahīñ masnad pe biThāyā gayā maiñ
shahr-e-tohmat tirī galiyoñ meñ phirāyā gayā maiñ
mere hone se yahāñ aa.ī hai paanī kī bahār
shāḳh-e-girya thā sar-e-dasht lagāyā gayā maiñ
ye to ab ishq meñ jī lagne lagā hai kuchh kuchh
is taraf pahle-pahal gher ke laayā gayā maiñ
ḳhuub itnā thā ki dīvār pakaḌ kar niklā
us se milne ke liye sūrat-e-sāya gayā maiñ
tujh se kuchh kahne kī himmat hī nahīñ thī varna
ek muddat tirī dahlīz tak aayā gayā maiñ
ḳhalvat-e-ḳhās meñ bulvāne se pahle 'tābish'
aam logoñ meñ bahut der biThāyā gayā maiñ
Top Urdushayar.com