Abbas Tabish

pani aankh mein bhar kar laya ja sakta hai

Abbas Tabish

1961
paanī aañkh meñ bhar kar laayā jā saktā hai
ab bhī jaltā shahr bachāyā jā saktā hai
ek mohabbat aur vo bhī nākām mohabbat
lekin is se kaam chalāyā jā saktā hai
dil par paanī piine aatī haiñ ummīdeñ
is chashme meñ zahr milāyā jā saktā hai
mujh gumnām se pūchhte haiñ farhād o majnūñ
ishq meñ kitnā naam kamāyā jā saktā hai
ye mahtāb ye raat kī peshānī kā ghaav
aisā zaḳhm to dil par khāyā jā saktā hai
phaTā-purānā ḳhvāb hai merā phir bhī 'tābish'
is meñ apnā-āp chhupāyā jā saktā hai
Top Urdushayar.com