Abbas Tabish

main apne ishq ko KHush-e-ehtimam karta hua

Abbas Tabish

1961
maiñ apne ishq ko ḳhush-e-ehtimām kartā huā
maqām-e-shukr pe pahuñchā kalām kartā huā
ye gard-bād salāmat guzarnā chāhtā hai
mire charāġh pe vahshat tamām kartā huā
guzar rahā huuñ kisī qariya-e-malāmat se
qadīm silsila-dārī ko aam kartā huā
to phir ye kaun hai nisfunnahār ke hañgām
qayām o raqs kī hālat meñ shaam kartā huā
kabhī to khul ke batā ai mirī riyāzat-e-marg
maiñ kaisā lagtā huuñ fikr-e-davām kartā huā
zamānoñ ba.ad bhī dasht-e-balā meñ merā 'husain'
dikhā.ī detā hai hujjat tamām kartā huā
Top Urdushayar.com