Siraj Aurangabadi

jab sen tujh ishq ki garmi ka asar hai man mein

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
jab señ tujh ishq kī garmī kā asar hai man meñ
tab señ phirtā huuñ udāsī ho birah ke ban meñ
aaj kī raat mirā chāñd nazar aayā hai
chāñdnī duud sī chhiTkī hai mire āñgan meñ
us kī sābit-qadamī par satī qurbān huuñ meñ
khet chhoḌā nahīñ mujh dil ne parat ke ran meñ
qatra-e-ashk mirā dāna-e-tasbīh huā
raat din mujh kuuñ guzartā hai tirī sumran meñ
jab señ dastār rañgāyā hai sanam abbāsī
gul-e-abbās kuuñ niiñ rañg rahā gulshan meñ
sair-e-dariyā señ nahīñ ham kuuñ tasallī mumkin
ġham ke tūfān ubalte haiñ hamāre man meñ
kyuuñ na ho.e dil-e-yāqūt-labāñ mom 'sirāj'
kaam kartā hai mirī aah kā hiirā khan meñ
Top Urdushayar.com