makāñ-bhar ham ko vīrānī bahut hai
magar ye dil ki sailānī bahut hai
hamāre paañv ulTe haiñ so ham ko
palaT jaane meñ āsānī bahut hai
sitāre chor āñkhoñ se na dekheñ
zamīñ par merī nigarānī bahut hai
abhī sūkhī nahīñ miTTī kī āñkheñ
abhī dariyāoñ meñ paanī bahut hai
ajab sī shart hai ye zindagī bhī
jo manvā.ī hai kam maanī bahut hai
zarūrat hī nahīñ dushman kī 'tābish'
mujhe merī tan-āsānī bahut hai