pas-e-ġhubār madad māñgte haiñ paanī se
ye log tañg haiñ miTTī kī hukmarānī se
ye haath suukh ke jhaḌne ko ho ga.e lekin
maiñ dast-kash na huā terī mehrbānī se
phir us ke ba.ad phaloñ meñ miThās aa.ī nahīñ
shajar ne kaam liyā thā ġhalat-bayānī se
kisī jazīre pe shāyad khulā ye baaġh koī
mahak gulāb kī aatī hai bahte paanī se
maiñ tere vasl kā lamha bachā sakūñ shāyad
mirā ta.alluq-e-ḳhātir hai rā.egānī se
navāh-e-shahr meñ phailī hai maut kī ḳhushbū
magar ye log ki lagte haiñ jāvedānī se
tire visāl ke mausam meñ ustuvār huā
koī ajab sā ta.alluq jahān-e-fānī se
tū mil gayā hai to achchhā huā vagarna dost
kise ġharaz thī mohabbat meñ kāmrānī se
pahuñch chuke haiñ mohabbat meñ us jagah ham log
jahāñ yaqīñ nahīñ aatā yaqīñ-dahānī se