dasht meñ pyaas bujhāte hue mar jaate haiñ
ham parinde kahīñ jaate hue mar jaate haiñ
ham haiñ sūkhe hue tālāb pe baiThe hue hañs
jo ta.alluq ko nibhāte hue mar jaate haiñ
ghar pahuñchtā hai koī aur hamāre jaisā
ham tire shahr se jaate hue mar jaate haiñ
kis tarah log chale jaate haiñ uTh kar chup-chāp
ham to ye dhyān meñ laate hue mar jaate haiñ
un ke bhī qatl kā ilzām hamāre sar hai
jo hameñ zahr pilāte hue mar jaate haiñ
ye mohabbat kī kahānī nahīñ martī lekin
log kirdār nibhāte hue mar jaate haiñ
ham haiñ vo TuuTī huī kashtiyoñ vaale 'tābish'
jo kināroñ ko milāte hue mar jaate haiñ