Abbas Tabish

shaKH par phul falak par koi tara bhi nahin

Abbas Tabish

1961
shāḳh par phuul falak par koī taarā bhī nahīñ
maiñ bhī tanhā huuñ bahut koī tumhārā bhī nahīñ
ek to muḌ ke na jaane kī aziyyat thī bahut
aur us par ye sitam koī pukārā bhī nahīñ
kah rahā thā ki mohabbat meñ takallum kaisā
maiñ jo chauñkā to kahāñ izn-e-ishārā bhī nahīñ
umr-e-mā-ba.ad agar tere alāva kuchh hai
phir to maiñ ab bhī nahīñ aur dobārā bhī nahīñ
Top Urdushayar.com