Abbas Tabish

ye hum ko kaun si duniya ki dhun aawara rakhti hai

Abbas Tabish

1961
ye ham ko kaun sī duniyā kī dhun āvāra rakhtī hai
ki ḳhud sābit-qadam rah kar hameñ sayyāra rakhtī hai
agar bujhne lageñ ham to havā-e-shām-e-tanhā.ī
kisī mehrāb meñ jā kar hameñ dobāra rakhtī hai
chalo ham dhuup jaise log hī us ko nikāl aa.eñ
sunā hai vo nadī tah meñ koī mah-pāra rakhtī hai
hameñ kis kaam par māmūr kartī hai ye duniyā bhī
ki tarsīl-e-ġham-e-dil ke liye harkāra rakhtī hai
kabhī sar phoḌne detī nahīñ dīvār se 'tābish'
ye kyā dīvāngī hai jo hameñ nākāra rakhtī hai
Top Urdushayar.com