Abbas Tabish

shajar samajh ke mera ehtiram karte hain

Abbas Tabish

1961
shajar samajh ke mirā ehtirām karte haiñ
parinde raat ko mujh meñ qayām karte haiñ
suno tum āḳhir-e-shab guftugū daraḳhtoñ kī
ye kam-kalām bhī kyā kyā kalām karte haiñ
kahāñ kī zindagī ham ko to sharm maar ga.ī
ki terī chiiz hai aur tere naam karte haiñ
hameñ to is liye jā-e-namāz chāhiye hai
ki ham vajūd se bāhar qayām karte haiñ
agar kabhī mujhe maujūdgāñ se fursat ho
to raftagāñ mirī nīndeñ harām karte haiñ
lahū ke ghūñT na piitā to aur kyā kartā
vo kah rahe the tirā intizām karte haiñ
hameñ samā.at-e-be-lafz kī ijāzat hai
hamāre saath parinde kalām karte haiñ
abhī to ghar meñ na baiTheñ kaho buzurgoñ se
abhī to shahr ke bachche salām karte haiñ
Top Urdushayar.com