zālim mire jigar kuuñ kare kyuuñ na phāñk phāñk
sīkhā hai vo nigah kā paTā aur adā kā baañk
pothī ḳhayāl-e-yār kī aa.ī hai jab siiñ haat
dil ke varaq pe tab setī likhtā huuñ ġham kī aañk
añgushtarī kuuñ dil kī banāyā huuñ nazr-e-yār
laḳht-e-jigar ke la.al kuuñ ulfat kā dekh daañk
aatā hai yaad phuul ke dekhe siiñ gul-badan
āshiq kā chhīltī hai jigar bulbuloñ kī haañk
jān-e-jahāñ kā zauq agar hai tujhe 'sirāj'
pinhāñ nigāh-e-ġhair siiñ parde meñ dil ke jhāñk