Abbas Tabish

kunj-e-ghazal na qais ka virana chahiye

Abbas Tabish

1961
kunj-e-ġhazal na qais kā vīrāna chāhiye
jo ġham mujhe hai us ko azā-ḳhāna chāhiye
hai jis kā intizār palak se falak talak
ab aanā chāhiye use aa jaanā chāhiye
yā-rab mire libās se hargiz gumāñ na ho
lekin mujhe mizāj-e-faqīrāna chāhiye
miltī nahīñ hai naav to darvesh kī tarah
ḳhud meñ utar ke paar utar jaanā chāhiye
ai dost! mujh se ishq kī yaksāniyat na pūchh
tū bhī kabhī kabhī mujhe begāna chāhiye
Top Urdushayar.com