Abbas Tabish

ye hum jo hijr mein us ka KHayal bandhte hain

Abbas Tabish

1961
ye ham jo hijr meñ us kā ḳhayāl bāñdhte haiñ
havā kī shāḳh se bū-e-visāl bāñdhte haiñ
hamāre bas meñ kahāñ ziist ko suḳhan karnā
ye qāfiya faqat ahl-e-kamāl bāñdhte haiñ
ye ahd-e-jeb-tarāshāñ ko ab huā ma.alūm
yahāñ ke log girah meñ savāl bāñdhte haiñ
vo ḳhuub jānte haiñ ham-duā nihādoñ ko
hamāre haath ba-vaqt-e-zavāl bāñdhte haiñ
sabhī ko shauq-e-asīrī hai apnī apnī jagah
vo ham ko aur ham un kā ḳhayāl bāñdhte haiñ
tumheñ pata ho ki ham sāhiloñ ke parvarda
mohabbatoñ meñ bhī mazbūt jaal bāñdhte haiñ
phir us ke ba.ad kahīñ bhī vo jā nahīñ saktā
jise bhī bāñdhte haiñ ham kamāl bāñdhte haiñ
Top Urdushayar.com