Abbas Tabish

nindon ka ek aalam-e-asbab aur hai

Abbas Tabish

1961
nīndoñ kā ek ālam-e-asbāb aur hai
shāyad kisī kī aañkh meñ ik ḳhvāb aur hai
tū mujh ko tāq-e-sīna meñ rakkhā huā na jaan
maiñ jis meñ jal rahā huuñ vo mehrāb aur hai
yūñhī nahīñ ye zarbat-e-tesha kī dastakeñ
lagtā hai ik fasīl pas-e-bāb aur hai
lahrā rahā hai sat.h pe mahtāb-e-ġhota-zan
har-chand ek shahr tah-e-āb aur hai
phūTī haiñ jis jagah mirī āñkhoñ kī koñpleñ
dil se pare vo ḳhitta-e-shādāb aur hai
khoyā huā huuñ niiñd ke parde ke us taraf
lagtā hai ek ḳhvāb pas-e-ḳhvāb aur hai
kirneñ to ik nigāh-e-subuk-rau kī lahr haiñ
dumbāla-dāri-e-shab-e-mahtāb aur hai
'tābish' ye terā aks nahīñ merī aañkh meñ
is jhiil meñ ye partav-e-zartāb aur hai
Top Urdushayar.com