Abbas Tabish

sans ke ham-rah shoale ki lapak aane ko hai

Abbas Tabish

1961
saañs ke ham-rāh sho.ale kī lapak aane ko hai
aisā lagtā hai koī raushan mahak aane ko hai
phir pas-e-paspā.ī merā hausla zinda huā
āsmāñ se phir koī taaza kumak aane ko hai
ek ḳhilqat hī nahīñ hai bad-gumānī kā shikār
us kī jānib se mire bhī dil meñ shak aane ko hai
ek muddat se charāġh-e-sard sā rakkhā huuñ maiñ
is tavaqqo.a par ki āñchal kī bhaḌak aane ko hai
ai safar kī rā.egānī āyatoñ ke saath chal
phir vahī jañgal vahī suunī saḌak aane ko hai
bed-e-majnūñ ho rahe haiñ tiir kyā talvār kyā
mere dushman meñ bhī ab shāyad lachak aane ko hai
ab to is chhat par koī māh-e-shabāna chāhiye
sāya-e-qāmat fasīl-e-shām tak aane ko hai
rāste gum ho rahe haiñ dhund kī pahnā.ī meñ
sardiyoñ kī shaam hai phir us kā chak aane ko hai
Top Urdushayar.com