fasl-e-gul kā ġham dil-e-nāshād par baaqī rahā
hashr lag ye muzlima sayyād par baaqī rahā
khol kar zulfoñ kuuñ aayā sarv-qad jab baaġh meñ
naqsh-e-hairat turra-e-shamshād par baaqī rahā
jal gayā parvāna pan mujh sā samundar-ḳhū nahīñ
ye suḳhan shāgird kā ustād par baaqī rahā
āshiqī meñ kab ravā hai is tarah kī zālimī
ḳhūn-e-shīrīñ gardan-e-farhād par baaqī rahā
rah ga.e zauq-e-tabassum meñ taġhāful ke shahīd
bismiloñ kā ḳhūñ-bahā jallād par baaqī rahā
ulfat-e-lailā ne majnūñ kā miTāyā sab nishāñ
naam us kā safha-e-ījād par baaqī rahā
khol chashm-e-lutf de jāgīr maqsūd-e-'sirāj'
sham.a-rū parvāna-dil sayyād par baaqī rahā