tujh zulf kī shikan hai mānind-e-dām goyā
yā sub.h par hamārī aa.ī hai shaam goyā
haiñ saad us kī āñkheñ aur qad alif ke mānind
abrū hai nūn-e-nādir gesū hai laam goyā
masjid meñ tujh bhavoñ kī ai qibla-e-dil-o-jāñ
palkeñ haiñ muqtadī aur putlī imaam goyā
rañgīñ bahār-e-jannat dozaḳh hai mujh ko us bin
dozaḳh hai us ke hote darussalām goyā
Tuk māh-e-nau kī jānib ai māh-rū nazar kar
ḳham ho tirī bhavoñ kuuñ kartā salām goyā
gul-rū ke qad muqābil ho bā-adab khaḌā hai
shamshād hai chaman meñ us kā ġhulām goyā
sher-e-'sirāj' az-bas aalam meñ haiñ zabāñzad
dīvān kī zamīñ hai dīvān-e-ām goyā