Siraj Aurangabadi

gham ne bandha hai mere ji pe khala hae khala

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
ġham ne bāñdhā hai mire jī pe khalā haa.e khalā
phir na.e sir setī aa.ī hai balā haa.e balā
ai gul-e-gulshan-e-jāñ kar mujhe yak-bār nihāl
ḳhaar hasrat kā kaleje meñ salā haa.e salā
dekh saktā nahīñ maiñ gul kuuñ har yak ḳhaar ke saath
apne ham-rāh raqīboñ kuuñ na lā haa.e na lā
zab.h karne meñ mire rahm na laayā us ne
balki itnā bhī kahā neñ ki galā haa.e galā
jis ne khāyā hai tere abrū-e-ḳhūñ-rez kā zaḳhm
murġh-e-bismil sā lahū biich ralā haa.e ralā
jān-e-jānāñ kuuñ mire paas shitābī laao
niiñ to yak pal meñ mirā jaan chalā haa.e chalā
be-tarah ab to birah aag dahaktī hai 'sirāj'
dil mirā kyuuñ na pukāre ki jalā haa.e jalā
Top Urdushayar.com