Siraj Aurangabadi

dekha hai jis ne yar ke ruKHsar ki taraf

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
dekhā hai jis ne yaar ke ruḳhsār kī taraf
hargiz na jaave sair kuuñ gulzār kī taraf
ā.īna-dil kī chashm meñ nuur jamāl dost
raushan huā hai har dar-o-dīvār kī taraf
manzūr hai salāmatī-e-ḳhūñ agar tujhe
mat dekh us kī nargis-e-bīmār kī taraf
vahāñ nahīñ baġhair jauhar-e-shamshīr ḳhūñ-bahā
zāhid na jā vo zālim-e-ḳhuñḳhār kī taraf
hai dil kuuñ azm-e-chauk umīd-e-visāl par
dīvāna kā ḳhayāl hai bāzār kī taraf
kyā pūchhte ho tum ki tirā dil kidhar gayā
dil kā makāñ kahāñ? yahī dildār kī taraf
parvāna kuuñ nahīñ hai magar ḳhauf-e-jāñ 'sirāj'
nāhaq chalā hai shola-e-dīdār kī taraf
Top Urdushayar.com