merī imlāk samajh be-sar-o-sāmānī ko
ek muddat se maiñ lāhaq huuñ pareshānī ko
ab ye ma.amūl ke ġham mujh ko rulāne se rahe
sānehe chāhiyeñ ashkoñ kī farāvānī ko
lauT aa.egī jo aflāk se fariyād mirī
kaun baḳhshegā sanad merī sanā-ḳhvānī ko
pesh-e-manzar bhī vahī thā jo pas-e-zāt rahā
ġham kī mīrās milī aañkh kī hairānī ko
siina sad-chāk karo dil se na aġhrāz karo
qaid rahne do abhī dasht meñ zindānī ko
maut bhī dekh ke añgusht-ba-dandāñ hai 'alī'
marqad-e-zīst se lipTī huī vīrānī ko