ḳhasāra-dar-ḳhasāra kar liyā jaa.e
junūñ ko isti.āra kar liyā jaa.e
ye nuqta bhī qarīn-e-maslahat hai
adāvat ko gavāra kar liyā jaa.e
darūn-e-dil yam-e-afsurdagī hai
koī tinkā sahārā kar liyā jaa.e
suḳhan-hā.e barā-e-guftanī se
ġhazal ko shāh-pāra kar liyā jaa.e
sar-e-āb-e-ravāñ sahrā bichhā kar
sarāboñ se kināra kar liyā jaa.e
ziyā āñkhoñ kī putlī meñ samo kar
añdhere kā nazāra kar liyā jaa.e
bhalā kyā khel hai kār-e-mohabbat
jo dānista dobāra kar liyā jaa.e
ye dil meñ hai ki saare ashk pī kar
badan ko miTTī gaarā kar kiyā jaa.e
basānī hai koī bastī ki sahrā
'alī' ab istiḳhāra kar liyā jaa.e