Siraj Aurangabadi

gul-ruKHon ne kiye hain sair ka ThaT

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
gul-ruḳhoñ ne kiye haiñ sair kā ThaaT
gulshan-ābād kā bharā hai haaT
teġh-e-abrū señ maiñ shahīd huā
is surūhī kā kyā balā hai kaaT
dil meñ aa rāh-e-chashm-e-hairāñ señ
khul rahe haiñ mirī palak ke paaT
zahr haiñ us kuuñ ne.amat-e-alvān
lazzat-e-ishq kī jise hai chaaT
nahīñ asar tīr-e-āh kuuñ is meñ
dil-e-sañgīñ tirā hai lohā laaT
panja-e-ishq ke shikanja señ
maiñ huā shash-jihat meñ baara baaT
ai 'sirāj' ashk ke charāġhoñ kuuñ
na.e mizhgāñ señ ham ne bāñdhe ThaaT
Top Urdushayar.com