Ali Muzammil

dar-e-shahi se dar-e-gadai pe aa gaya hun

Ali Muzammil

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1966
dar-e-shahī se dar-e-gadā.ī pe aa gayā huuñ
maiñ narm bistar se chārpā.ī pe aa gayā huuñ
badan kī saarī tamāzateñ maañd paḌ rahī haiñ
vo bebasī hai ki pārsā.ī pe aa gayā huuñ
nahīñ hai chehre kā haal paḌhne kī ḳhū kisī meñ
sukūt toḌā hai lab-kushā.ī pe aa gayā huuñ
husūl-e-ganj-e-atā-e-ġhaibī ke vāste ab
sifāt-e-rabbī kī jubba-sā.ī pe aa gayā huuñ
utaar pheñkā musālahat kā libās maiñ ne
sukūt toḌā hai lab-kushā.ī pe aa gayā huuñ
futūr mujh meñ nahīñ hai koī sabab to hogā
duā.eñ detā huā duhā.ī pe aa gayā huuñ
'alī' meñ sabze ko rauñdne kī sazā ke baa.is
barahna-sar se barahna-pā.ī pe aa gayā huuñ
Top Urdushayar.com