Ali Muzammil

tasawwur munkashif-az-baam ho jaane se Darta hun

Ali Muzammil

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1966
tasavvur munkashif-az-bām ho jaane se Dartā huuñ
atā-e-kashf ke itmām ho jaane se Dartā huuñ
zamīn-o-arsh ke bāham ta.alluq ke tanāzur meñ

zamīn-o-arsh kā idġhām ho jaane se Dartā huuñ

kabhī sab kar guzarne kā junūñ bechain rakhtā hai
kabhī yuuñ bhī huā sab kaam ho jaane se Dartā huuñ
mohabbat irtibāt-e-qalb se mashrūt hotī hai
yaqīn-o-rabt ke ib.hām ho jaane se Dartā huuñ
kahāñ mujh ko mayassar misr kā bāzār aa.egā
ḳhud apnī zaat meñ nīlām ho jaane se Dartā huuñ
'alī' bahr-e-mohabbat kā shanāvar huuñ ḳhudā shāhid
vafā ke naam pe ilzām ho jaane se Dartā huuñ
Top Urdushayar.com