Ali Muzammil

hasb-e-maqsud ho gaya hun main

Ali Muzammil

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1966
hasb-e-maqsūd ho gayā huuñ maiñ
raakh kā duud ho gayā huuñ maiñ
ek kamre talak basīrat hai
kitnā mahdūd ho gayā huuñ maiñ
naam pahle barā.e-nām to thā
ab to mafqūd ho gayā huuñ maiñ
yuuñ khiñche muflisī meñ sab rishte
jaise mardūd ho gayā huuñ maiñ
manfa.at bāñTtā rahā kal tak
aaj be-sūd ho gayā huuñ maiñ
shahr radd-o-qubūl meñ aa kar
būd-o-nābūd ho gayā huuñ maiñ
umr kī nā-rasā masāfat meñ
gard-ālūd ho gayā huuñ maiñ
huzn kī yaas kī vadī.at par
ain mas.ūd ho gayā huuñ maiñ
bāb-e-shahr-e-suḳhan huā thā 'alī'
nutq-e-masdūd ho gayā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com