Ali Muzammil

har bure waqt ke afaal badal deta hai

Ali Muzammil

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1966
har bure vaqt ke afa.āl badal detā hai
ishq dānāoñ ke aqvāl badal detā hai
barg-e-jāñ hai.at-e-ajzā kā pareshān sā juz
dekhte dekhte ashkāl badal detā hai
vaqt bedār magar hai to taġhayyur kā asiir
jo badalnā ho ba-har-hāl badal detā hai
ik zarā sabr ki parvāz kā ḳhāliq yak-dam
vaqt aane pe par-o-bāl badal detā hai
koī majzūb-e-ilāh jazb-o-junūñ meñ aa kar
kurra-e-arz ke abdāl badal detā hai
haath aa jaa.e agar nusḳha-e-aqavāl-e-'alī'
ek ik qaul-e-mah-o-sāl badal detā hai
Top Urdushayar.com