shahr-e-dil kunj-e-bayābān nahīñ thā pahle
maiñ kabhī itnā pareshān nahīñ thā pahle
baa.eñ pahlū meñ jo ik sañg paḌā hai sākit
ye dhaḌaktā bhī thā be-jān nahīñ thā pahle
shahryāroñ se marāsim the bahut hī gahre
tīra-baḳhtoñ se bhī anjān nahīñ thā pahle
lafz rūThe hue rahte the qalam se aksar
jin se tajdīd kā imkān nahīñ thā pahle
jab safar kaaT liyā hai to milā hai sab kuchh
saath mere koī sāmān nahīñ thā pahle
ab bhī be-nām basar hote haiñ auqāt mire
dil meñ tauqīr kā armān nahīñ thā pahle
aaj chādar ke barābar hai mire qad kī bisāt
maiñ kisī shahr kā sultān nahīñ thā pahle
khaa.e baiThā hai zamāne se ta.alluq kā fareb
tū 'alī' itnā to nādān nahīñ thā pahle