Qais Rampuri

aaj ruswa hain to hum kucha-o-bazar bahut

Qais Rampuri

aaj rusvā haiñ to ham kūcha-o-bāzār bahut
yā kabhī giit bhī gaate the sar-e-dār bahut
apne hālāt ko suljhāo to kuchh baat bane
mil bhī jā.eñge kabhī gesū-e-ḳhamdār bahut
dil ke zaḳhmoñ ko bhī mumkin ho to dekho varna
chāñd se chehre bahut phuul se ruḳhsār bahut
aaj māhaul meñ fitne haiñ sar-e-dair-o-haram
aaj behtar hai parastish ko dar-e-yār bahut
luT ga.e ek hī añgḌā.ī meñ aisā bhī huā
umr-bhar phirte rahe ban ke jo hoshiyār bahut
ajnabī ban ke rahe shahr meñ ham hālāñki
sāya-e-zulf bahut sāya-e-dīvār bahut
'qais' nā-qadrī-e-ahbāb kā shikva hai fuzūl
koī yūsuf hī nahīñ varna ḳharīdār bahut
Top Urdushayar.com