Siraj Aurangabadi

yar ko be-hijab dekha hun

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
yaar ko be-hijāb dekhā huuñ
maiñ samajhtā huuñ ḳhvāb dekhā huuñ
ye ajab hai ki din kuuñ tārīkī
raat kuuñ āftāb dekhā huuñ
nusḳha-e-husn meñ tire qad kuuñ
misra-e-intiḳhāb dekhā huuñ
kis satī ab ummīd-e-lutf rakhūñ
tujh nigah siiñ itaab dekhā huuñ
ab huā sab siiñ fāriġh-ut-tahsīl
be-ḳhudī kī kitāb dekhā huuñ
lashkar-e-ishq jab siiñ aayā hai
mulk-e-dil kuuñ ḳharāb dekhā huuñ
majlis-e-chashm-e-mast saaqī meñ
daur-e-jām-e-sharāb dekhā huuñ
ai 'sirāj' ātish-e-mohabbat meñ
dil kuuñ apne kabāb dekhā huuñ
Top Urdushayar.com