shahr meñ sā.ebāñ bahut se haiñ
phir bhī kyuuñ be-amāñ bahut se haiñ
Dar ga.e ek imtihān se tum
merī jaañ! imtihāñ bahut se haiñ
luT gayā ek kārvāñ to kyā
raah meñ kārvāñ bahut se haiñ
rāz-e-ulfat ke ham nahīñ mujrim
aap ke rāz-dāñ bahut se haiñ
terī hī ham-navā nahīñ duniyā
mere bhī ham-zabāñ bahut se haiñ
is zamīn-e-suḳhan meñ ai 'jāmī'
dekhnā āsmāñ bahut se haiñ