ba-har-lamha pighaltā jā rahā huuñ
na.e sāñche meñ Dhaltā jā rahā huuñ
mirī manzil mire pesh-e-nazar hai
magar raste badaltā jā rahā huuñ
mire ash.ār merā aa.ina hai
maiñ apnā fan ugaltā jā rahā huuñ
koī sūrat nikālo zindagī kī
ki ab ġham se bahaltā jā rahā huuñ
safar to zindagī kī shart Thahrā
na chalne par bhī chaltā jā rahā huuñ
sahārā de rahī haiñ laġhzisheñ ab
ki 'jāmī' maiñ sambhaltā jā rahā huuñ