Syed Meraj Jami

KHak-dan ko hasil-e-zauq-e-nazar samjha tha main

Syed Meraj Jami

Kolkata, West Bengal, India

1955
ḳhāk-dāñ ko hāsil-e-zauq-e-nazar samjhā thā maiñ
ḳhvāb ke aalam ko kitnā mo'atabar samjhā thā maiñ
kyā ḳhabar thī mil ke tū mujh se judā ho jā.egā
is dhundalke ko na jaane kyuuñ sahar samjhā thā maiñ
aaj phirtī hai nazar har raah meñ bhaTkī huī
kyuuñ ġhubār-e-kārvāñ ko rāhbar samjhā thā maiñ
apne andar dekhtā thā jalva-hā-e-rañg-rañg
jism-e-ḳhākī ko bhī ik shīshe kā ghar samjhā thā maiñ
aa gayā manzil pe har patthar ko Thukrātā huā
aap ke ġham ko har ik ġham kī sipar samjhā thā maiñ
munkashif mujh par huā 'jāmī' vo rahbar thā mirā
jis haqīqat-āshnā ko bāzīgar samjhā thā maiñ
Top Urdushayar.com