Syed Meraj Jami

zindagi kya har qadam par ek nai diwar hai

Syed Meraj Jami

Kolkata, West Bengal, India

1955
zindagī kyā har qadam par ik na.ī dīvār hai
tīrgī dīvār thī ab raushnī dīvār hai
kyuuñ bhaTaktī phir rahe haiñ aaj arbāb-e-ḳhirad
kyā junūñ ke rāste meñ āgahī dīvār hai
bach nahīñ saktī taġhayyur ke asar se koī shai
pahle suntī thī magar ab dekhtī dīvār hai
ham to vābasta haiñ aise daur se jis daur meñ
aadmī ke rāste meñ aadmī dīvār hai
jazba-e-jehd-o-amal se zindagī koh-e-girāñ
be-amal ho zindagī to ret kī dīvār hai
aaj apne dushmanoñ se khul ke laḌ saktā nahīñ
dushmanī ke rāste meñ dostī dīvār hai
ruuh kyuuñ muztar na ho 'jāmī' harīm-e-jism meñ
jis taraf bhī dekhtī hai āhanī dīvār hai
Top Urdushayar.com