Mushtaq Ajiz

lahu jala ke ujale luTa raha hai charagh

Mushtaq Ajiz

1944
lahū jalā ke ujāle luTā rahā hai charāġh
ki zindagī kā salīqa sikhā rahā hai charāġh
vufūr-e-shauq meñ laila-e-shab ke chehre se
naqāb-e-zulf-e-pareshāñ uThā rahā hai charāġh
hamāre saath purāne sharīk-e-ġham kī tarah
azāb-e-hijr ke sadme uThā rahā hai charāġh
ye raushnī kā payambar hai is kī baat suno
sadāqatoñ ke sahīfe sunā rahā hai charāġh
shab-e-siyāh kā aaseb Tālne ke liye
tamām umr sharīk-e-duā rahā hai charāġh
havā-e-dahr chalī hai baḌī ra.ūnat se
dayār ishq meñ koī jalā rahā hai charāġh
vo haath bhī yad-e-baizā se kam nahīñ 'ājiz'
jo ḳhāk-e-arz-e-vatan se banā rahā hai charāġh
Top Urdushayar.com