dhuup ruḳhsat huī shaam aa.ī sitārā chamkā
gard jab baiTh ga.ī naam tumhārā chamkā
har taraf paanī hī paanī nazar aatā thā mujhe
tum ne jab mujh ko pukārā to kinārā chamkā
muskurātī huī ā.ankhoñ se milā izn-e-safar
shahr se duur na jaane kā ishārā chamkā
ek tahrīr ki jo saaf paḌhī bhī na ga.ī
magar ik rañg mire ruḳh pe dobārā chamkā
aaj ik ḳhvāb ne phir zehn meñ añgḌā.ī lī
aur tūfān meñ tinke kā sahārā chamkā
sāzgār aane lagī thī hameñ ḳhalvat lekin
jī meñ kyā aa.ī ki phir zauq-e-nazārā chamkā
jhilmilāne lagīñ mahfil meñ charāġhoñ kī laveñ
ruḳhsat ai ham-nafaso sub.h kā taarā chamkā