Hasrat Mohani

jo wo nazar basar-e-lutf aam ho jae

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
jo vo nazar basar-e-lutf aam ho jaa.e
ajab nahīñ ki hamārā bhī kaam ho jaa.e
sharāb-e-shauq kī qīmat hai naqd-e-jān-e-azīz
agar ye bā.is-e-kaif-e-davām ho jaa.e
rahīn-e-yās raheñ ahl-e-ārzū kab tak
kabhī to aap kā darbār aam ho jaa.e
jo aur kuchh ho tirī diid ke sivā manzūr
to mujh pe ḳhvāhish-e-jannat harām ho jaa.e
vo duur hī se hameñ dekh leñ yahī hai bahut
magar qubūl hamārā salām ho jaa.e
agar vo husn-e-dil-ārā kabhī ho jalva farosh
faroġh-e-nūr meñ gum zarf-e-bām ho jaa.e
sunā hai bar-sar-e-baḳhshish hai aaj piir muġhāñ
hameñ bhī kaash atā koī jaam ho jaa.e
tire karam pe hai mauqūf kāmrāni-e-shauq
ye nā-tamām ilāhī tamām ho jaa.e
sitam ke baad karam hai jafā ke baad atā
hameñ hai bas jo yahī iltizām ho jaa.e
atā ho soz vo yā rab junūn-e-'hasrat' ko
ki jis se puḳhta ye saudā-e-ḳhām ho jaa.e
Top Urdushayar.com