Siraj Aurangabadi

jab sin dekha hun yar ki surat

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
jab siiñ dekhā huuñ yaar kī sūrat
gul kuuñ būjhā huuñ ḳhaar kī sūrat
kyuuñ na hue qatl dam-ba-dam āshiq
haiñ bhaveñ zul-fiqār kī sūrat
mujh kuuñ ā.īna-e-tasavvur hai
dilbar-e-gul-ezār kī sūrat
dil ne mere kiyā hai tauq-e-gulū
zulf-e-gul-rū hai haar kī sūrat
nā-umīdī meñ jalva-e-dīdār
hai ḳhizāñ meñ bahār kī sūrat
safha-e-dil pe sīna-chākoñ ke
naqsh hai us nigār kī sūrat
kāġhaz-e-abr par likhā hai 'sirāj'
dīda-e-ashk-bār kī sūrat
Top Urdushayar.com