Hasrat Mohani

rawish-e-husn-e-muraat chali jati hai

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
ravish-e-husn-e-murā.āt chalī jaatī hai
ham se aur un se vahī baat chalī jaatī hai
us jafā-jū se bā-īmā-e-tamannā ab tak
havas-e-lutf-o-ināyāt chalī jaatī hai
mil hī jaate haiñ pashīmāni-e-ġham ke asbāb
shauq-e-hirmāñ kī mudārāt chalī jaatī hai
ham se har-chand vo zāhir meñ ḳhafā haiñ lekin
koshish-e-pursish-e-hālāt chalī jaatī hai
din ko ham un se bigaḌte haiñ vo shab ko ham se
rasm-e-pābandi-e-auqāt chalī jaatī hai
us sitamgar ko sitamgar nahīñ kahte bantā
sa.i-e-tāvīl-e-ḳhayālāt chalī jaatī hai
nigah-e-yār se pā lete haiñ dil kī bāteñ
shohrat-e-kashf-o-karāmāt chalī jaatī hai
hairat-e-husn ne majbūr kiyā hai 'hasrat'
vasl-e-jānāñ kī yūñhī raat chalī jaatī hai
Top Urdushayar.com