Hasrat Mohani

sitam ho jae tamhid-e-karam aisa bhi hota hai

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
sitam ho jaa.e tamhīd-e-karam aisā bhī hotā hai
mohabbat meñ batā ai zabt-e-ġham aisā bhī hotā hai
bhulā detī haiñ sab ranj o alam hairāniyāñ merī
tirī tamkīn-e-behad kī qasam aisā bhī hotā hai
jafā-e-yār ke shikve na kar ai rañj-e-nākāmī
ummīd o yaas donoñ hoñ baham aisā bhī hotā hai
mire pās-e-vafā kī bad-gumānī hai ba-jā tum se
kahīñ be-vaj.h iz.hār-e-karam aisā bhī hotā hai
tirī dildāriyoñ se sūrat-e-begānagī niklī
ḳhushī aisī bhī hotī hai alam aisā bhī hotā hai
vaqār-e-sabr khoyā girya-hā-e-be-qarārī ne
kahīñ ai e'tibār-e-chashm-e-nam aisā bhī hotā hai
ba-dāvā-e-vafā kyuuñ shikva-sanj-e-jaur hai 'hasrat'
dayār-e-shauq meñ ai mahv-e-ġham aisā bhī hotā hai
Top Urdushayar.com