Hasrat Mohani

aur bhi ho gae begana wo ghaflat kar ke

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
aur bhī ho ga.e begāna vo ġhaflat kar ke
āzmāyā jo unheñ zabt-e-mohabbat kar ke
dil ne chhoḌā hai na chhoḌe tire milne kā ḳhayāl
bār-hā dekh liyā ham ne malāmat kar ke
dekhne aa.e the vo apnī mohabbat kā asar
kahne ko ye hai ki aa.e haiñ ayādat kar ke
pasti-e-hausla-e-shauq kī ab hai ye salāh
baiTh rahiye ġham-e-hijrāñ pe qanā.at kar ke
dil ne paayā hai mohabbat kā ye aalī rutba
aap ke dard-e-davā-kār kī ḳhidmat kar ke
ruuh ne paa.ī hai taklīf-e-judā.ī se najāt
aap kī yaad ko sarmāya-e-rāhat kar ke
chheḌ se ab vo ye kahte haiñ ki sambhlo 'hasrat'
sabr o tāb-e-dil-e-bīmār ko ġhārat kar ke
Top Urdushayar.com